Posts

Dastan-e-Ishq

Is masroof ilmi zindagi mein, roz ek lamha sajaata hoon, jab tere khwabon ki mehfil ko dil ke chaman mein basata hoon. College ki canteen ke kone mein baithe, tanha si soch bunta hoon, chai ki nafahaat se  teri talaash ka dastoor jagata hoon. Aankhon mein pard-e-haya liye, dil se pukaar lagata hoon, har saans ke saaye mein teri sada ko mehkata hoon. Apne pahle ishq Khuda se, wo poori kalam-e-khwab sunata hoon, duaon ki parchhai mein teri tamanna ka phool khilata hoon. Aazmaish ke is daur-e-ishq mein, tujhe apna hamsafar banana chahta hoon, har nafas teri yaadon ka  chiragh jalata hoon, aur roz tere ishq ko dil se nibhata hoon.                                                ~Shahaab (saak)

Aaina-e-Amal

Har roz hum faisle lete hain, chahe wo Business,Love,Rule ke ho.Lekin kya in faislon mein humne kabhi socha ke Khuda ko humne kahan rakha? Yeh shayari wahi sawal chhooti hai jo humein apne andar jhaankhne par majboor karti hai. •┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈⊰✺ तिज़ारत की तो, क्या ख़ुदा को रखा सारिफ़ और ख़ुद के बीच में? मोहब्बत की तो, क्या ख़ुदा को रखा महबूब और ख़ुद के बीच में? हुक़ूमत की तो, क्या ख़ुदा को रखा अवाम और ख़ुद के बीच में? कब तक यूँ नाकामी को  तक़दीर का लिबास पहनाते रहोगे? क्या कभी हर अमल को हलाल मक़सद बनाया तूने?                                           ~शहाब (साक)  •┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈┈⊰✺