Dastan-e-Ishq
Is masroof ilmi zindagi mein, roz ek lamha sajaata hoon, jab tere khwabon ki mehfil ko dil ke chaman mein basata hoon. College ki canteen ke kone mein baithe, tanha si soch bunta hoon, chai ki nafahaat se teri talaash ka dastoor jagata hoon. Aankhon mein pard-e-haya liye, dil se pukaar lagata hoon, har saans ke saaye mein teri sada ko mehkata hoon. Apne pahle ishq Khuda se, wo poori kalam-e-khwab sunata hoon, duaon ki parchhai mein teri tamanna ka phool khilata hoon. Aazmaish ke is daur-e-ishq mein, tujhe apna hamsafar banana chahta hoon, har nafas teri yaadon ka chiragh jalata hoon, aur roz tere ishq ko dil se nibhata hoon. ~Shahaab (saak)